Thursday, 15 November 2018

kabhi kabhi jindgi me naa kuch kehne yogya hota naa kuch sochne yogya
jb naa kuch ktne ka man kre naa jeene ki icha rhe
tb pal pal bitana sbse mushkil ho jata hai
swaal aise jiske jwab nhi mil skte
mai kyu hu, mera astitva kyu hai, kyu mai ji rhi hu, kyu mai khana khayu, kyu mai hasu, kyu mai royu.
kyu mai jindgi me kuch kru, kyu ye jeevan hai, kyu ye jindgi hai.

na jaane kb ek nayi manjil kb ek bjah milegi
naa jane kb jeene ki umeed milegi, naa jane kb nyi disha milegi.

kyu kbhi kbhi zindgi ke sath dhokha ho jata hai
kyu humari mulakat galat se hoti hai
kyu kuch chize zindgi me zeher se bdkar zeher bn jati hai.
jaha man me nafrat aur grihna ho wha umeed lgana bekar hai.

zindgi ne bs ek chiz sikhayi hai kabhi kbhi zindgi me bura waqt ata hai, suna tha smjh ab aya hai
jeene ki umeed jo khatam kra de us zehrile rasto se dur ho jana hi behtar hai
kash ki ye sb smj pate

jb kisi ki duao me jeher ho
jb kisi ke ashish me zeher ho
to un rasto ko khtam krna hi acha hota hai.

roj roj zeher peene se, roj roj marne se behtar hai ki wha ka rasta hi bhul jao

No comments: